ALONE(Hindi-2015)-Songs-Lyrics-Videos-Bipasha Basu-Karan Singh Grover-KATRA-KATRA-AAWARA-Touch My Body-Chand Aasmano Se-Ankit Tiwari-Mithoon-Raghav Sachar-

ALONE (Hindi Movie) - All Songs' Lyrics & Videos |

2015:

My Facebook page                                           My Youtube channel



Alone Songs Lyrics & Videos: 


Alone is a Bollywood scary/erotic drama movie directed by Bhushan Patel and produced by Panorama Studios. The film stars Bipasha Basu and debutant Karan Singh Grover in lead roles.


The original soundtrack album has four songs produced by four different musicians Ankit Tiwari, Mithoon, Raghav Sachar and Jeet Gannguli, The album is released on T-Series.


Alone Lyrics and videos can be seen through below songs list.


KATRA LYRICS - ALONE (Hindi Film) Song by Ankit Tiwari


Katra from Alone
Katra Katra Lyrics from Hindi movie Alone: A sensous romantic song by Ankit Tiwari featuring Karan Singh Grover and Bipasha Basu in its video.
Singers: Ankit Tiwari, Prakriti Kakkar
Music: Ankit Tiwari
Lyrics: Abhay Upadhyay
Cast: Karan Singh Grover, Bipasha Basu
Music Label: T-Series

Katra Lyrics


Iss tarah se khudse aa mujhko jod tu
Thoda bhi mujhme na mujhko chhod tu
Na yaad teri tujhko
Na yaad mujhe hoon main
Aa mujhko pehan le tu
Aa tujhko odh loon main

Katra katra main girun
Jism pe tere theharun
Katra katra main girun
Tujh mein hi kahin reh lun

Dariya tu khaali kar de
Mujhme saara tu bhar de
Tujhko aa main pee jaaun, pyaas bujha do..

Laana kuch baadal laana
Unko mujh par barsaana
Boondein teri ho jinme, unse bhigaa do...

Na yaad teri tujhko
Na yaad mujhe hoon main
Aa mujhko pehan le tu
Aa tujhko odh loon main

Katra katra main girun
Jism pe tere theharun
Katra katra main girun
Tujh mein hi kahin reh lun

Khud se khaali ho jaaun
Aaja tujhse bhar jaaun
Tinka tinka jal jaaun
Aise jalaa do.. ho..

Tarun main tan pe tere
Thehrun angon pe tere
Gehari jo khawahish teri
Unme duba do..

Na yaad teri tujhko
Na yaad mujhe hoon main
Aa mujhko pehan le tu
tujhko odh loon main

Qatra qatra main girun
Jism pe tere theharun
Katra katra main girun
Tujh mein hi kahin reh lun (x2)

---------------------------------------------------


AAWARA LYRICS - Alone | Mithoon Feat. Bipasha & Karan


Aawara from Alone
Awara Aawara Lyrics from Hindi movie Alone: A love song written and composed by Mithoon Sharma featuring Karan Singh Grover and Bipasha Basu in music video.
Singers: Altamash Faridi, Saim Bhatt
Lyrics & Music: Mithoon
Cast: Karan Singh Grover, Bipasha Basu
Music Label: T-Series

Aawara Lyrics


Phir se wahin dil le aaya mujhe
Hai bas jahaan teri meri wafaa
Kehta hai ye ishq ki raah se
Phir ek dafaa hum guzar lein zara
Paas laaya tere, yun sataaya mujhe
Phir tere liye majboor kiya, majboor kiya..

Ho aawara aawara, awaara awaara
Aawara aawara, dil awaara hua (x2)

Kabhi pehli barish min ye khwahishein jagayein
Kabhi isme chal rahi dhadkan ko badhayein
Fitrat se ye besabar bas tujhko bulaaye
Doori ka jo aalam ho to khoob rulaaye
Phir kitni bhi koshish kar lu dil sambhal na paye

Paas laaya tere, yun sataya mujhe
Phir tere liye majboor kiya, majboor kiya..

Ho awara awara, awara awara
Aawara awaara, dil awaara huaa (x2)

Chal phir unn galiyon me hum phir kho jaayein
Jahaan chalti thi mohabbat ki taaza hawaayein
Wahaan phir se ajnabi kyun na ho jaayein
Phir se ek dooje ko aa chal milwaayein
Tujhe milke aawaargi ka mausam phir aaye

Paas laaya tere, yun sataya mujhe
Phir tere liye majboor kiya, majboor kiya..

Ho awara awara, awara awara
Aawara awaara, dil awaara huaa (x2)

---------------------------------------------------

Touch My Body Lyrics - Alone | Bipasha, Karan Grover


Touch My Body from Alone
Touch My Body Lyrics from Hindi movie Alone: A sensuous & naughty song sung by Aditi Singh Sharma featuring Bipasha Basu & Karan Grover. This song is Raghav Sachar's recreated version of Dr. Zeus' hit song Kangna Tera Ni.
Singer: Aditi Singh Sharma
Recreated by: Raghav Sachar
Originally Produced by: Dr. Zeus
Lyrics: Kumaar
Music Label: T-Series

Touch My Body Lyrics


C'mon...
Maine raat mein aankh se baat private bol di
Tune pyaar ki di hawaa zulfe maine khol di
Kar le mujhko tu touch zara
Slowly slowly feel me
Aise ab mujhe na sataa
I can't take it no more

I just wanna feel your body
(saanu kare ishaare) touch my body
Don't be shy my honey
(saanu kare ishaare) feel my body (x2)

Feel my body..

Go...
Tere hothon pe hothon se
Lab ka nishan chhod doon
Kal subah tak baahon se
Main bahein teri jod lun
Tujhko josh mein dekh kar
Crazy crazy ho gayi
Mujhko khud mein tu de jagah
I can't take it no more

I just wanna feel your body
(saanu kare ishaare) touch my body
Don't be shy my honey
(saanu kare ishaare) feel my body (x2)

Hai nasha jo tujhme itna
Saara pee loon aa aa
Kuch bhi kar le main hoon teri
Mujhe nahi aitraaz

Maine raat mein aankh se baat private bol di
Aise ab mujhe na sataa
I can't take it no more

I just wanna feel your body
(saanu kare ishaare) touch my body
Don't be shy my honey
(saanu kare ishaare) feel my body (x2)



---------------------------------------------------

Chand Aasmano Se Lapata Lyrics - Alone | Bhaven Dhanak

Categories: 
Chand Aasmano Se Laapata from Alone
Chand Aasmano Se Lapata Lyrics from Hindi movie Alone: A soft romantic love song composed by Jeet Gannguli, sung by Bhaven Dhanak and written by Sandeep Nath.
Singer: Bhaven Dhanak
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sandeep Nath
Cast: Karan Singh Grover, Bipasha Basu
Music Label: T-Series

Chand Aasmano Se Laapata Lyrics

Chand aasmano se laapata ho gaya
Chal ke mere ghar mein aa gaya, aa gaya
Main khush-kismat hoon bakhuda iss tarah
Ho jaaye poori ik duaa jis tarah

Tere bin meri jaana kabhi
Ik pal bhi guzaara nahi
Teri aarzoo ne khud se begana kar diya
Chaand aasmano se lapata ho gaya
Chal ke mere ghar mein aa gaya, aa gaya

Maine tujhe tohfe mein ye dil diya
Tune mujhe badle mein ye jahaan diya
Main hi jaanu, tu hi jaane jo hai darmiyaan
Tujh se hai meri jaana ghar ye aashiyaan..

Tere bin meri jaana kabhi
Ik pal bhi guzaara nahi
Teri aarzoo ne khud se begana kar diya
Chand aasmano se lapata ho gaya
Chalke mere ghar mein aa gaya, aa gaya

Tune mere raaston ko manzil kiya
Tujhe paake zindagi ko haasil kiya
Tere liye hai ye saansein, tay kar liya
Tu hai toh hai ye kahaani, mere saathiya

Tere bin meri jaana kabhi
Ik pal bhi guzaara nahi
Teri aarzoo ne khud se begana kar diya
Chand aasmano se lapata ho gaya
Chalke mere ghar mein aa gaya, aa gaya










Comments

Popular posts from this blog

complete-review-of-the-bikes-used-in-dhoom-series-the-super-bikes-used-in-dhoom-trilogy

Taarzan-the wonder car-photos-designs-pictures-wallpapers-Ajay-devgn-Ayesha-takia-farida-jalal

Robot - Enthiran - Robo - starring Rajinikanth - Aishwarya rai bachchan - released in 2010 - trilingual movie of tollywood - kollywood - bollywood - mollywood