Khamoshiyan(2015)-movie-Songs-Lyrics-Videos-Ali Fazal-Sapna Pabbi-Gurmeet Choudhary-Khamoshiyan (Title Song)-Tu Har Lamha-Baatein Ye Kabhi Na-Kya Khoya Kya Paya-Bheeg Loon (Female)-Bheeg Loon (Male)-Subhan Allah


Khamoshiyan - All Songs Lyrics & Videos | 

2015 Film:

My Facebook page                                           My Youtube channel



Khamoshiyan Songs Lyrics & Videos: Khamoshiyan is a Bollywood movie directed by Karan Darra and produced by Mahesh Bhatt & Mukesh Bhatt. The film is an erotic love triangle portrayed by Ali Fazal, Sapna Pabbi and Gurmeet Choudhary.

The music for the movie has been composed by Jeet Gannguli, Ankit Tiwari, Bobby-Imran and Naved Jafar the album features three songs sung by Arijit Singh, The album is released on Sony Music India.

Khamoshiyan Lyrics and videos can be seen through below songs list.

Khamoshiyan Lyrics (Title Song) - Arijit Singh


Khamoshiyan - Arijit Singh feat Ali Fazal
Arijit Singh's Khamoshiyan Lyrics: This is the title song of Vishesh Films' upcoming movie Khamoshiyan starring Ali Fazal, Sapna Pabbi and Gurmeet Choudhary.

Singer: Arijit Singh
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh
Starring: Ali Fazal, Sapna Pabbi, Gurmeet Choudhary

Music On: Sony Music India

Khamoshiyan Lyrics


Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun'ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua

Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan

Khamoshiyan aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zara.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

-----------------------------------------------------------------

Tu Har Lamha Lyrics - Khamoshiyan | Arijit Singh


Tu Har Lamha - Arijit Singh
Arijit Singh's Tu Har Lamha Lyrics from Khamoshiyan: An another Arijit song in Vishesh Films' movie starring Ali Fazal, Sapna Pabbi and Gurmeet Choudhary.
Singer: Arijit Singh
Music: Bobby-Imran
Lyrics: Sayeed Quadri
Music On: Sony Music India

Tu Har Lamha Lyrics




Waaqif toh huey tere dil ki baat se
Chhupaya jise tune qaaynaat se
Waaqif toh huey tere uss khayal se
Chhupaya jise tune apne aap se
Kahin na kahin teri aankhein,
teri baatein padh rahe hain hum
Kahin na kahin tere dil mein,
dhadkano mein dhal rahe hain hum
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

Uss din tu haan udaas rahe
tujhe jis din hum na dikhe na miley
Uss din tu chup-chaap rahe
tujhe jis din kuch na kahe na suney
Main hoon bann chuka, jeene ki ik wajah
Iss baat ko khud se tu na chupaa..
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

Lab se bhale tu kuch na kahe
Tere dil mein hum hi toh base yaa rahe
Saansein teri iqraar kare
Tera haath agar chhulein, pakde
Teri khwahishein kar bhi de tu bayaan
Yehi waqt hai inke izhaar ka..
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

----------------------------------------------------------------


Baatein Ye Kabhi Na Lyrics - Khamoshiyan | Arijit Singh


Baatein Ye Kabhi Na - Khamoshiyan
Arijit Singh's Baatein Ye Kabhi Na Tu Bhoolna Lyrics from Khamoshiyan: A beautiful love song from Vishesh Films' movie starring Ali Fazal, Sapna Pabbi and Gurmeet Choudhary.
Singers: Arijit Singh (Male Version)
Female Version sung by: Palak Muchhal
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sayeed Quadri
Music On: Sony Music India

Baatein Ye Kabhi Na Lyrics


Baatein ye kabhi na tu bhoolna
Koi tere khatir hai jee raha
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee raha
Tu jahaan jaaye mehfooz ho
Tu jahaan jaaye mehfooz ho
Dil mera maange bas ye duaa

Baatein ye kabhi na tu bhoolna
Koi tere khatir hai jee raha
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee raha

Humdard hai, humdum bhi hai
Tu saath hai toh zindagi
Tu jo kabhi door rahe
Ye humse ho jaaye ajnabi
Tujhse mohabbat karte hain jo
Tujhse mohabbat karte hain jo
Kaise kare hum usko bayaan

Baatein ye kabhi na tu bhulna
Koi tere khatir hai jee raha
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee rahaa

Jaagi bhi hai royi bhi hai
Aankhein ye raaton mein mere
Kyun har ghadi milke tujhe
Lagti rahe bas teri kami
Hum toh na samjhe tum hi kaho
Hum toh na samjhe tum hi kaho
Kyun tumko paake tumse juda

Baatein ye kabhi na tu bhoolna
Koi tere khatir hai jee rahaa
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee rahaa

---------------------------------------------


Kya Khoya Lyrics - Khamoshiyan | Naved Jafar


Kya Khoya - Khamoshiyan
Kya Khoya Kya Paaya Lyrics from Khamoshiyan: A song by Naved Jafar from Ali Fazal, Sapna Pabbi and Gurmeet Choudhary starrer Khamoshiyan.
Artist: Naved Jafar
Lyrics: Rashmi Singh
Music On: Sony Music India

Kya Khoya Lyrics


Mere mann chal duniya se ab door chale
Raahon ki ungli thaame chalte chale (x2)

Na khushi aur na gham ho jahaan
Dhoond le koi aisi jagah

Kya khoya kya paaya
Itna kyun soche hai
Tu hai nadiya, tu hai dariya
Kyun khudko roke hai (x2)

Jo ho gaya hai woh hona tha
Jo ho raha hai woh hoyega
Kaahe hai kose laqeeron ko
Paayega wohi jo boyega
Ho naye kuch savere jahaan
Dhoond le koi aisi jagah

Kya khoya kya paaya
Itna kyun soche hai
Tu hai nadiya, tu hai dariya
Kyun khudko roke hai (x2)

Kadmon ko kar apne awaara
Mausam na honge ye dobara
Jeet na paayega woh jag mein
Khud se jo pehle se ho haara
Kuch naye se woh sapne jahaan
Dhoond le koi aisi jagah

Kya khoya kya paaya
Itna kyun soche hai
Tu hai nadiya, tu hai dariya
Kyun khudko roke hai (x2)

Mere mann chal duniya se ab door chale
Raahon ki ungli thaame chalte chale (x2)

Na khushi aur na gham ho jahaan
Dhoond le koi aisi jagah

Kya khoya kya paaya
Itna kyun soche hai
Tu hai nadiya, tu hai dariya
Kyun khudko roke hai (x2)

---------------------------------------------

Bheeg Loon Lyrics (Female Version) - Khamoshiyan | Prakriti Kakkar


Bheeg Loon - Khamoshiyan
Bheeg Loon Lyrics (female version) from Khamoshiyan: A sensuous song sung by Prakriti Kakkar and composed by Ankit Tiwari.
Singer: Prakriti Kakkar
Music: Ankit Tiwari
Lyrics: Abhendra Kumar Upadhyay
Cast: Ali Fazal, Sapna Pabbi, Gurmeet Choudhary
Music On: Sony Music India

Bheegh Loon Lyrics


Sharm hata de jo shab gira le aankhon pe
Pyaas mita de.. wo nami chura le honton se
Main jalti raatein teri
Tu wo subah jo bujha de

Bheeg loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein
Bheegh loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein bheeg loon

Aa honton pe tu khwahish tu bun le
Baaki jo hasrat wo chun le
Bikhre hain jo katre mere
Ho.. haan tan se tan uljhale zara
Phir se mann sulga le zara
Chakhne to de tukde tere
Main jalti raatein teri
Tu wo subah jo bujha de

Bheeg loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein
Bheegh loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein bheeg loon

Aa ye raatein lambi tu kar de
Chingari rag-rag mein bhar de
Sharmon se tu sharmo haya
Ho.. haan rakh le tu lab ko labon pe
Main guzru meri hadon se
Thehru kahaan kuch tu bata
Main jalti raatein teri
Tu wo subah jo bujha de

Bheeg loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein
Bheegh loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein bheeg loon

---------------------------------------------

Bheeg Loon Lyrics (Male) - Khamoshiyan | Ankit Tiwari


Bheeg Loon - Khamoshiyan
Bheeg Loon Lyrics (male version) from Khamoshiyan: A sensuous song sung and composed by Ankit Tiwari with lyrics penned by Abhay.
Singer: Ankit Tiwari
Music: Ankit Tiwari
Lyrics: Abhendra Kumar Upadhyay
Cast: Ali Fazal, Sapna Pabbi, Gurmeet Choudhary
Music On: Sony Music India

Bheegh Loon Lyrics


Aur andhera aaj mila de raaton mein
Subah bujha de aaj meri inn aankhon mein
Main jalta lamha koi tu hai shabnam jo bujha de

Bheegh loon, bheegh loon
Aaj main teri baarish mein
Bheegh loon, bheegh loon
Aaj main teri baarish mein bheeg loon

Haan khud ko ab behne de mujhpe
Mujhko bhi jalne de tujhpe
Rukne na de ye silsila
Wo.. haan paani ki chaadar lage tu
Pyaasa ik baadal lage tu
Mujhko lage tu barf sa
Main jalta lamha koi tu hai shabnam jo bujha de

Bheeg loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein
Bheeg lun, bheeg lun
Aaj main teri baarish mein bheeg loon

Aa din se raatein tu badal le
Neendon ko meri masal de
Subah talak mujhko jagaa
hmm.. aa tan pe tu mere fisal le
Har karvat meri pehan le
Khud ko de tu mujhme dubaa
Main jalta lamha koi tu hai shabnam jo bujha de

Bheeg loon, bheeg loon
Aaj main teri baarish mein
Bheegh loon, bheegh loon
Aaj main teri baarish mein bheeg loon

------------------------------------------------------------


Subhan Allah Lyrics - Khamoshiyan | Anupam Amod


Subhan Allah - Khamoshiyan
Subhan Allah Lyrics from Khamoshiyan: The song is the other version of Tu Har Lamha composed by Bobby-Imran, this one is sung by Anupam Amod & Imran Ali.
Singers: Anupam Amod, Imran Ali
Music: Bobby-Imran
Lyrics: Sayeed Quadri
Cast: Ali Fazal, Sapna Pabbi, Gurmeet Choudhary
Music On: Sony Music India

Subhan Allah Lyrics


Tumhare liye ik shaam likh toh dun
Khali panno pe tera naam likh toh dun (x2)

Teri khamoshiyon ko lafz apne pehle le toh dun
Teri tasveer mein rang apne pehle bhar toh dun
Subhan Allah...
Subhan Allah...
Subhan Allah...
Subhan Allah...

Dil ye mera woh musafir hai
Kisi ek jagah pal bhar na ruke
Par shayad tum tak aake
Do pal ye chain ki saansein le
Maana mera koi haq nahi tum par
Main jaan ke ye gunaah kar bhi toh loon
Subhan Allah...
Subhan Allah...
Subhan Allah...
Subhan Allah...

Aadhe se thhe sabhi khwaab mere
Tere aane se ho gaye poore
Sehme se inn jazbaaton ko
Teri haan sunke hausle mill gaye
Maana ye pal beet jaayenge kal
Iss pal ko main jee bhar ke jee bhi toh loon
Subhan Allah...
Subhan Allah...
Subhan Allah...
Subhan Allah...













Comments

Popular posts from this blog

complete-review-of-the-bikes-used-in-dhoom-series-the-super-bikes-used-in-dhoom-trilogy

Taarzan-the wonder car-photos-designs-pictures-wallpapers-Ajay-devgn-Ayesha-takia-farida-jalal

Robot - Enthiran - Robo - starring Rajinikanth - Aishwarya rai bachchan - released in 2010 - trilingual movie of tollywood - kollywood - bollywood - mollywood